Artist: Lata Mangeshkar Album: N/A (0000) Title: Raat Andhiyaari Hai
Lyrics Raat Andhiyaari HaiRaat Andhiyaari Hai raat andhiyaari hai, maat dukhiyaari hai sukh se tuu so mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar raat andhiyaari hai
taare hain gagan mein, aansuu hain nayan mein ab naa samaaye meri pir, mere man mein dharati bhi roye aur roye aasamaan mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar raat andhiyaari hai
sisak rahaa hai praan, vinaa kaa taar taar jahaan bhi nayan jaaye andhakaar andhakaar - 2 aansuuon ke motiyon ki tuu hai musakaan mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar raat andhiyaari hai
jahaan bhi tuu rahe, mere aansuuon ki dhaar rahe balihaari jaauun maan, meraa man praan kahe mere pyaare devataa kaa tuu hai varadaan mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar raat andhiyaari hai, maat dukhiyaari hai raat andhiyaari hai |